Hum tou thehray Fouji, wapis chalay jahi gaye
Pher siastdan sab ko notch ker kahi gaye
Ab tum humai Amreeka ke gulam kahatay hou
Humai Zaleel aur kameeenay subah o sham kahat hou
Pher aap sistdanoo ko be asa hi pahi gaye
Hum tou thehray Fouji, wapis chalay gahi gaye
Hum Amrreeky pasay Fouj kay kaam per kharch kertay hai
Aour khuch Awaam kay katal-e=aam per khurch kertay hai
Yeh pasay sistdan apnay banko main jamah karhi gaye
Hum tou therhray Fouji, wapis chalay jahi gaye
Amreeka saye jo yari hai woh qom saye gadari hai
Yeh nahrah bada acha hai, yeh istlah badi piari hai
Mugar Amreeky madad key bagar mulk kasay chlahi gaye
Hum tou thehray Fouji, wapis chalay gahi gaye
Hum chahtay hai pakistan banay khush-haal pora
Sastdan bazid hai key issay banhi kungaal pora
Shahed issi jung main sab pakistan ko gunwahi gaye
Hum tou thehray Fouji, wapis chalay gahi gaye
Posted by admin |
No Comments »
Abi tou main Hukmran hou
Abi tou main!!!
Ikitdaar ki yeh Karsian
Jo sajai houi hain yahan
Main inn perr Brajman hou
Abi tou main Hukmran hou
Kabi somosay kabi Kebab hain
Aur kabi Halway Lajwaj hain
Arzohin hai machility hoi!!!
Aur suhanay suhanay Khawab hain
Umar sai borah sahat sai Jawan hou
Abi tou main Ukmran you
Abi tou main!!!
Yeh kuttay saray Ghaat kay
Yeh Masalay saray chaat kay
Miah sahib, Raja sahib ki Nasal
Aur betay saray Jaat kay
Main sab ka Nigabaan hou
Abi tou main Hukmran hou
Abi tou main!!!
Amreeka say pasay Mhangoo gah
Qom ko sooli perr Tangoo gah
Sab ko khaday main dhakal ker
Khud iss ko Phalangoo gah
Main bhut kameena inssan hou
Abi tou main ukomran hou.
Abi tou main!!!
Yeh gareebo ki Bastian
Yeh Balundia aur Pastian
Indian Fimeam dhek kar
Logoo Ki Khoob Mastian
Main Assa Pakistan hou
Abi tou main Hukmran hou.
Posted by admin |
No Comments »
Party ka piar nakami kay sumunder main bah gia Main wazeer-e-azam bantay bantay rah gia
…………………………. ………………………..
Meri siasi Dunia mai youn aag lagai Zardari nay
Jasay hei Benazir gai,apni Ank churai Zardari nay
Mera sheeshay ka mon toot gia
Mera dostou saye saath choot gia
Sitim sub kay samnay meri mounch gari Zardari nay
Meri siasi Dunia mai youn aag lagai Zardari nay
Dil dukha aur jaan mai kanta laga
Wadah toota munh per chanta laga
Bil-akhar apni loomri jasi mukari dikhai Zardari nay
Meri siasi Dunia mail youn agg lagai Zardari nay
Peopls party mai ab mera koi yaar nahi
Abb mujay bei iss party saye piar nahi
Jo meri honi thei, woh party apni banai Zardari nay
Meri sisai Dunia mai youn agg lagai Zardari nay
Baieman tou tha hei, shetan bei nikla
Aounchi Dukan pheka pakwan bei nikla
Jeetay jee meri jaan phhansi per latkai Zardari nay
Meri siasi Dunia mai youn aag lagai Zardari nay
Posted by admin |
No Comments »
Unn Loatay hei Loatay Unn Loatay hei Loatay
Unn jidder tussie jao gaye buss Loatay hei pao gaye
Unn assembly hall wich Insaan di khaal wich
Unn Loatay hei Loatay Unn Loatay hei Loatay
Unn saray Pakistan wich shahre di herr Dukan wich
Unn Loatay hei Loatay Unn loatay hei Loatay
Unn jidder tussie jao gaye Buss Loatay hei pao gaye
ahay Islamabad daye Loatay nay Inaha nay bhung daye peetay ghootay nay
Bhung wei peenday janday nay tay sarray mil kay ghanday nay
Unn Loatay hei Loatay Unn Loatay hei Loatay
Unn jidder tussie jao gaye Buss Loatay hei pao gaye
Aao saray Loatian daa karobar kariay Aao sab Loatian naal piar kariay
Kunkay, saaday naseeb wich tay tuhadayy naseeb wich
Unn Loatay hei Loatay Unn Loatay hei Loatay
Unn jidder tussie jao gaye Buss Loatay hei pao gaye
Posted by admin |
No Comments »
Abb Loatay hei Loatay Abb Loatay hei Loatay
Abb jidder tum jao gaye buss Loatay hei pao gaye
Abb assembly hall main Insaan ki khaal main
Abb Loatay hei Loatay Abb Loatay hei Loatay
Abb saray Pakistan main shahre ki herr Dukan main
Abb Loatay hei Loatay Abb loatay hei Loatay
Abb jidder tum jao gaye Buss Loatay hei pao gaye
Yeh Islamabad kay Loatay hain Inhoo nay bhung kay peetay ghootay hain
Bhung be peetay jaatay hain aur sarray mil kar gaatay hain
Abb Loatay hei Loatay Abb Loatay hei Loatay
Abb jidder tum jao gaye Buss Loatay hei pao gaye
Aao saray Loatoon ka karobar karain Aao sab Loatoon saye piar karain
Kunkay, humaray naseeb main aur tumaray naseeb
Abb Loatay hei Loatay Abb Loatay hei Loatay
Abb jidder tum jao gaye Buss Loatay hei pao gaye
Posted by admin |
No Comments »
Yeh Leader Pakistan Kay Rishtaydaar hain shetan kay
Apnay bank bharany ka kaam karain
Aur garebo ki zandgi haram karain
Ghar mai hou tou Jam khahin!!!
Sarak per jahi tou trafic jam karain
Yeh kachay eman kay
yeh Leader Pakistan kay
Awam ko wahdoo per tarkhatay hain
Aur khoud maal sara khatay hain
Yeh vote mangnay aatay hain
per bilkul gahib hou jatay hain
Jootay saray jahan kay
Yeh Leader Pakistan kay
Sohni dhirti ko kharaab kia
Garebo ka jeena Azaab kia
Mulk ko naqsaan pucha kar
Apnay manafy ka asaab kia
Zimaydaar herr naqsaan kay
yeh leader Pakistan kay
Posted by admin |
No Comments »